Tere jane ka gum bhulaata hooN,
To tere aane ki yaad aati hai.
Jab saath hua karte the hum bhi,
Us zamaane ki yaad aati hai….!
Kabhi chubhati, kabhi gudgudati hai,
lekin har pal teri yaad aati hai…!
Gam nahi ki usne hame bhula diya ,
Ranj hain ki khud ko tadpaaya hoga.
Mere khaton ke harf mitaane ko,
Na jaane kitna ashq bahaaya hoga….!
Kabhi rulaati, kabhi hansaati hai,
lekin har pal teri yaad aati hai…!
Meri tasveer me jo aag lagaai hogi,
Apne haathon ko bhi jalaaya hoga.
Mehndi jo saji hogi haathon me,
Lahoo mere jigar ka usme aaya hoga….!
Kabhi jagaati, kabhi sulaati hai,
lekin har pal teri yaad aati hai…!
Wednesday, December 24, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
Tere jane ka gum bhulaata hooN,
To tere aane ki yaad aati hai.
Jab saath hua karte the hum bhi,
Us zamaane ki yaad aati hai….!
अच्छी गज़ल है... मन के भावों की उम्दा अभिव्यक्ति।
Post a Comment